Dosti insaan ki zaroorat…..
Dosti insaan ki zaroorat hai, dilon pe dosti ki hukamat hai aap k pyar ki wajah se zinda hain warna khuda ko bhi hamari zarorat hai.
Dosti insaan ki zaroorat hai, dilon pe dosti ki hukamat hai aap k pyar ki wajah se zinda hain warna khuda ko bhi hamari zarorat hai.
Dard jitna saha jaye utna hi sehna, Kisi ke dil ko jo lag jaye vo baat na kehna, Milte hain hamare jaise dost bahut kam, Isline humse ‘Kabhi Alvida Na Kehna’
Zindagi mein hamesha naye dost milenge, kahi zyada to kahin kum milenge. Aitbaar zara soch kar karna, mumkin nahi tumhe har jagah HUM milenge.
Ek achha dost agar 100 baar roothe to use 100 baar manao, kyunki keemti motiyon ki maala jitni baar hbi toote use pirona hi padta hai…
Nishana jo le wo SURVIR,
Nishane pe jo lag jaye wo TIR,
Dil me jo utar jaye wo TASVIR,
Mere Jaise Dost ki saath mil jaye wo ACHI TAQDIR…
Sehmi-sehmi nigahon mein khawab hum saja denge,
Suni suni rahon pe phool hum khila denge,
Aap hamare sung muskura kar to dekho,
Aap har gam bhula denge
Panchi keh rahe hai ki hum chaman chod denge,
aur sitare keh rahe hai ki hum gagan chod denge,
agar tere ishq mein mai mar bhi jau ae sanam,
tum dilse pukar lena hum kafan chod denge.
Hum aap ko kabhi khoney nahin denge,
Juda hona chaha to bhi hone nahin denge,
Chandni raton mein aye gi meri yaad,
Meri yaad ke woh pal aap ko sone nahin denge.
Tumhari yaad dil se jaane na denge,
Tumhare jaisa dost khone na denge,
Sharafat se contact me rehena,
Varna bahut marenge aur rone na denge
Lafzon ki hansi aapke naam kar denge,
Har khushi aap par qurban kar denge,
Jis din hogi kami hamari dosti main,
Uss din zindagi maut ke naam kar denge.