Jab Baghawat per

Jab Baghawat per mere ghar ki Shamaa hi aa gayi
Tab Hawaa ka ik Ishaaraa bhi Qayamat kar gaya.

Toofaan se Ulajhane ka kar Shauk zaraa dekho
Kya khaak Maza leharon pe Kashti ko Chalaane kaa.

Ab Lafz bhi apni Jubaan kho Baithe
Banaane jaon to Baat aur Bigad Jati Hai.

 Ahale-Dil, ahale-Dard, ahale-Karam

“Ahale-Dil, ahale-Dard, ahale-Karam
kum ho jaye Sitam, kuchh to kijiye Raham”

“Tere Taarif mein labs kum pad gaye, Varna
hum bhi Ghalib se kuchh Kum na the”

“Ye Betaabi, ye Bekaraari, Ijtiraab, ye Ijtiraar
hay Allah, na jaane ye kiske ye Aasaar”
[ijtiraab, ijtiraar = Restlessness, and, aasaar

SMS Categories