Mohabbat

Ikrar main shabdon ki ahmiyat nahi hoti,
Dil k jazbat ki awaz nahi hoti,
Ankhen biyan kar daiti hain dil ki dastan,
Mohabbat lafzon ki mohtaj nahi hoti!

 Koi na melay

Koi na melay to kismat se gila nhi kerty!

akSer log mil ker bhi mila nhi kerty!

har shaakh par bahaar aati hy Zaror!

par har shaakh par phool khila nhi kerty

 chahat…

Usko Chaha Bhi To Iqrar Na Karna Aaya

Kat Gayi Umer,Humein Pyar Na Karna Aaya

Usne Manga Bhi to humse Judai Mangi

Aur Ek Hum Thay K Inkaar Na Karna Aaya

 Woh mil jatey hain….

Woh mil jatey hain kahani bankar

Dil mein bas jatey hain nishani bankar

Jinhe hum rakhte hain apni aakhon main

Kyun nikal jatey hain woh pani bankar!!

 pyar karte hain.

Badalna aata nahi humko mausamo ki tarah

Har ek roop main tera intezar karte hain

Na tum sameet sakogi jise qayamat tak

Kasam tumhari tumhe itna pyar karte hain.

 judai…..

Judai ke bandi khane mein
Bas ab tu jine ka aik hi silsila hai jana!
Tumhari sochon mein dube rehna
Tumhare khwabon mein khoye rehna
Kisi terha tum ko dekhne ki sebeel karna
Tumhare kooche tak ane ka
koi bahana karna.
Har aate jate se khriyat ki naveed lena
Hawaon aur chand aur
Parindon pe rashk karna.
Mera ji ahwaal poochna hai
Tu yeh hai jana!
Ke jane kab se….
Judai ke bandi khane mein
Baraf ki seel pe tanha
Hararat-e-zindagi se kuch
Rabbt dhoondti hoon
Badan ko apne..
Tumhare hatoon se chuo rahi hoon!

 Mujhe karo itna pyar……

Usne kaha
Aalam-e-Madhooshi Main
Jan Aaj kuch sitam kar do

Mujhe karo itna pyar ke sub kuch khatam kar do

Lipat jao mujhse mujhe besharam kar do

Mene kaha Aajo meri jan aur light band kar do

Phir usne kaha ruko meri Jaan
Pehle ye batao

Kisne kaha tha k PEPSI pe 5 rupay kam kar do .?.?.

 tere pass….

Aaj Kuch Waqt Ke Liye Paas Mere Kaash Tum Aajao,

Boht Tanha Hoon Mein Aaj, Kash Tum Aajao,

Kabhi Khud Ko Itna Kamzor Na Hone Diya Maine,

Par Aaj Bikhar Gayi Hoon Mein, Kash Tum Aajao,

Tum se Milte Hi Milta Hai Hosla Har Pal Mujhe,

Chahiye Aaj Baahon Ka Sahara, Kash Tum Aajao

Barson Se G Rahi Hoon Bin Tere Ae Jaan_E_Wafa,

Aaj Nahin Guzar Raha Ek Pal, Kash Tum Aajao,

Waqt Ki Raftaar B Jaise Tham Si Gayi Hai,

Tham Na Jaye Meri Saans Kash Tum Aajao

 tumhe itna pyar karte hain.

Badalna aata nahi humko mousmo ki tarah
Har ek roop main tera intezaar karte hain
Na tum samet sakogi jise qayamat tak
Kasam tumhari tumhe itna pyar karte hain.

 Ajeeb si kashish

Ajeeb si kashish hai aap me
Ki hum aap k khayalon me khoye rehte hai
Ye soch kar k aap khawabo me aao ge
Hum din me bhi soya karte hai.

SMS Categories